Thursday, May 5, 2011

Wafa me ab ye hunar b ikhteyaar karna hai...!!!

Wafa m ab ye hunar ikhtiyaar karna hai
Wo sach kahey na kahey aitbaar karna hai

Yeh tujh ko jaagtey rehnay ka shauq kab say hua
Mujhey toh khair tera intezaa karna hai

Hawa kay zadd mai jalaaney hain ansuon kay chiraagh
Kabhi yeh jashn sar-e-raah guzaar karna hai

Woh mukura kay nayee waswason mai daal gaya
KHaial tha keh usay sharmsaar karna hai

Misaal-e-shaakh-e-barehna khizaan ki rut mai kabhi
Khud apnay jism ko bai barg-o-baar karna hai

Tairay firaaq mai din kis tarhan kattey apnay
Keh shughal-e-shab toh sitaarey shumaar karna hai

Chalu yeh ashq hi moti samajh kar baich ayeen
Kisi tarhan toh humein roz gaar karna hai

Kabhi toh dil mai chupay zakhm bhi numayan ho
Qaba samajh kay badan taar taar karna hai

Khuda khabar yeh koi zidd kay shauq hai "Mohsin"
Khud apni jaan kay dushman say pyar karna hai

**Moshin Naqvi**

Sunday, February 13, 2011

Barishon k mosam me...!!

Barishon Ke Mosam Me

Waqt K Andheron Me

Me Ne Us Se Poocha tha

Chhor to na Jao ge

Hath tham kr Usne

Kaan Me ye bola tha

Kese Chor Sakta Hon!

Tum tu Jaan ho Meri

Or aaj aisa He

Waqt Ki tamazat Me

Wehshton Ke Mosam Me

Me ne us se poocha hai

Chor Kr hi Jana tha

Muskurati Galyon Me

Aas Kyon dilaee thi

Pyas Kyon jagaee thi

Mere In sawalon pr

Chalty Chalty wo bola

Mosamon Ki Aadat Hai!

'WAQT PAR BADAL JANA'