Friday, January 31, 2014

تمام شد

آنکھوں سے خواب، دل سے تمنا تمام شد
تم کیا گئے، کہ شوقِ نظارا تمام شد

کل تیرے تشنگاں سے یہ کیا معجزہ ہوا
دریا پہ ہونٹ رکھے، تو دریا تمام شد

دنیا تو ایک برف کی سل سے سوا نہ تھی
پہنچی ذرا جو آنچ، تو دنیا تمام شد

عشاق پر یہ اب کے عجب وقت آپڑا
مجنوں کے دل سے حسرت لیلٰی تمام شد

شہرِ دل تباہ میں پہنچوں تو کچھ کھلے
کیا بچ گیا ہے راکھ میں، اور کیا تمام شد

ہم شہرِ جاں میں آخری نغمہ سنا چکے
سمجھو کہ اب ہمارا تماشا تمام شد

اک یاد یار ہی تو پس انداز ہے حسن
ورنہ وہ کار عشق تو کب کا تمام شد

حسن عباس رضا

وہ درد، وہ وفا، وہ محبت تمام شُد
لے! دل میں ترے قرب کی حسرت تمام شُد

یہ بعد میں کُھلے گا کہ کس کس کا خُون ہوا
ہر اِک بیاں ختم، عدالت تمام شُد

تُو اب تو دشمنی کے بھی قابل نہیں رہا
اُٹھتی تھی جو کبھی وہ عداوت تمام شُد

اب ربط اک نیا مجھے آوارگی سے ہے
پابندیء خیال کی عادت تمام شُد

جائز تھی یا نہیں، ترے حق میں تھی مگر
کرتا تھا جو کبھی وہ وکالت تمام شُد

وہ روز روز مرنے کا قصہ ہوا تمام
وہ روز دِل کو چِیرتی وحشت تمام شُد

محسن میں کُنجِ زیست میں چُپ ہوں پڑا
مجنُوں سی وہ خصلت و حالت تمام شُد

Tuesday, January 28, 2014

Mein Ne Is Tor Se Chaha Tujhe!!

Mein Ne Is Tor Se Chaha Tujhy Aksar Janaan
Jaisy Mehtab Ko Be.ant Samandar Chahey 
Jaisy Soraj Ki Kiran Seep K Dil Me Utrey 
Jaisy Khushboo Ko Hawa Rang Se Hat Kar Chahey


Jaisy Pathar Ke Kalaije Se Kiran Phootti Hai 
Jaisy Ghunchy Khuly Mousam Se Hina Mangtey Hein 
Jaisy Khuaboun Mein Khyaloun Ki Kaman Tootti Hei 
Jaisy Barish Ki Dua Aabla Pa Mangty Hein


Mera Her Khuwab Mere Sach Ki Gawahi De Ga 
Wosat.E.Deed Ne Tujh Se Teri Khuahish Ki Hei 
Meri Sochon Me Kabhi Dekh Sarapa Apna 
Mein Ne Dunya Se Alag Teri Parastish Ki Hei


Khahish.E.Deed Ka Mousam Jo Kabhi Dhundla Howa 
Noch Dali Hein Zamanon Ki Naqabein Mein Ne 
Teri Palkon Pe Utarti Hoi Subhon K Liye 
Torr Dali Hein Sitaroon Ki Tanabein Mein Ne


Mein Ne Chaha Ke Tere Husan Ki Gulnar Fiza
 Meri Ghazalon Ki Qataron Se Dehekti Jaey 
Mein Ne Chaha Ke Mere Fun Ke Gulistan Ki Bahar 
Teri Ankhon Ke Gulabon Se Mehakti Jaey


Tey To Ye Tha Ke Sajata Rahy Lafzon Ke Kanwal 
Mere Khamosh Kheyalon Mein Takalum Tera 
Raqs Karta Rahy Bharta Rahy Khushbo Ka Khumar 
Meri Khahish Ke Jazeeron Me Tabasum Tera


Tu Magar Ajnabi Mahool Ki Parwarda Kiran 
Meri Bujhti Hoi Raton Ko Sehar Kar Na Saki 
Teri Sanson Me Maseehai Thi Lekin Tu Bhi 
Chara.E.Zakham, Gham.E.Deeda.E.Tar Kar Na Saki


Tujh Ko Ehsas Hi Kab Hai Ke Kisi Dard Ka Dagh 
Ankh Se Dil Me Utar Jaey To Kiya Hota Hei 
Tuu Ke Seemab Tabiyat Hei Tujhy Kiya Maloom 
Mousam.E.Hijar Thehar Jaey To Kiya Hota Hai


Tu Ne Us Morr Pe Torra Hei Taluq Ke Jahan 
Dekh Sakta Nahi Koi Bhi Palat Kar Janan 
Ab Ye Aalam He Ke Ankhein Jo Khulein Gi Apni 
Yaad Aaye Ga Teri Deed Ka Manzar Janan
Mujh Se Mange Ga Tere ehad.E.Mohabbat Ka Hisaab 
Tere Hijran Ka Dehakta Howa Mehshar Janaan 

Youn Mere Dil Ke Barabar Tera Ghum Aya Hei 
Jaisy Sheeshy Ke Muqabil Koi Pathar Janaan


Jaisy Mehtab Ko Be.Ant Samandar Chahy 
Mein Ne Is Tor Se Chaha Tujhy Aksar Janan!!

Saturday, January 18, 2014

Me ab sonay se darta hun!

کہا تھا نا !!!!

مجھے تم اس طرح سوتے مت چھوڑ کر جانا
مجھے بیشک جگا دینا
بتا دینا کے
محبت کے سفر میں ساتھ میرے چل نہیں سکتے
جدائی میں ہجر میں ساتھ میرے چل نہیں سکتے
تمہیں راستہ بدلنا ہے
میری حد سے نکلنا ہے
تمہیں کس بات کا ڈر تھا
تمہیں جانے نہیں دیتا
ارے پاگل !!!
محبت کی طبیعت میں
زبردستی نہیں ہوتی
جسے راستی بدلنا ہو
اسے راستہ بدلنے سے
جسے حد سے نکلنا ہو
اسے حد سے نکلنے سے
نہ کوئی روک پایا ہے
نہ کوئی روک پائے گا
تمہیں کس بات کا ڈر تھا
مجھے بیشک جگا دیتے
تمہیں میں دیکھ ہی لیتا
تمہیں کوئی دعا دیتا
کم از کم یوں تو نہ ہوتا
میرے پاس حقیقت ہے !
تمہارے بعد کھونے کے لئے
کچھ بھی نہیں باقی
مگر خود کو کھو جانے سے ڈرتا ہوں
میں اب سونے سے ڈرتا ہوں..

Wednesday, January 15, 2014

"Har aik ko bhikari bana kar rastay me bithaya hua hai, or har aik khud ko malik samjhta hai. Jab tak thokar nahi lagti, jab tak ghutnon par nahi girta apni aukaat ka pata hi nahi chalta. Wajood k naseeb me hai bhikari hona, bas zaat bhikari nahi ho sakti. Wajood k muqadar me mangna hai, zaat ka wasf dena hai.
Me to kia bibi! Sab bhikari hain. Aaj nahi to kal, kal nahi to parson
kabhi na kabhi bhikari banna hi parta hai. Mangna hi hota hai.
Koi Ishq mangta hai, koi Duniya, or jo ye nahi mangta wo Khuahish Ka Khatam hona mangta hai."
-Shehr-e-Zaat-

Tuesday, January 7, 2014

Meri sochain badalti ja rahi hain!

Meri sochain badalti ja rahi hain,
Ke yeh cheezain badalti ja rahi hain,

Tamasha aik hai roz-e-azal se,
Fakat aankhain badalti ja rahi hain,

Badalte manzron ke aayine mein,
Teri yadain badalti ja rahi hain,

Dilon se jorrti thi jo dilon ko,
Woh sab rasmain badalti ja rahi hain,

Adhoori, na’mukamma khawhishain kyon,
Neyi shaklain badati ja rahi hain,

Agar manzil wohi hai rahiyon ki,
To kyon raahain badati ja rahi hain,

Najaney kyon mujhe lagta hai Amjad,
Ke woh nazrain badalti ja rahi hain..

Monday, January 6, 2014

Zindagi ...Taiz Bohat Taiz Hawa Ka Jhonka!

Zindagi ...Taiz Bohat Taiz Hawa Ka Jhonka
Jalti Bhujti Hoi Shamai'n Mai Mah-o-Saal Meray
Dhalta Soraj Meray Mazi Ki Lehad Ka Katba
Rag-e-Sehra Ki Lakeerain Hain Khod-o-Khaal Meray


Chaand Meray Tan-e-Majrooh Pay Sang-e-Aizaz
Dhoop Chaoo'n Meray Sad-e-Chaak Libadahy Ka Kihraj
SUb Sitaray Meri Pooshaak Kay Paiwand-e-Naheef
Meray Ansoo'n Mera Virsa Meri Ankhoo'n Ka Mizaaj


Mera Cherah Meray Maqtool Huner Ki Tarigh
Meri Ankhai'n Meri Dukhti Hoi Ankhoo'n Kay Chiraagh
Meray Hontoo'n Pay Meri Piyaas Kay Nohoo'n Ka Hajoom
Meray Seenay Pay Darakhshan Meri Toheen Kay Dagh


Ajj Ki Sham Kay, Kay Her Saal Isi Shaam Kay Sath
Meri Ukhri Hoi Sansoo'n Mai Grirah Lagti Hai
Aasmaa'n Waqat Kay Anchal Ki Dhanak Bunta Hai
Sari Dharti Tan-e-Uryaa'n Ki Zirra Lagti Hai


Ajj Ki Shaam Kay Her Saal Meray Gham Nawaz
Muskuraatay Howay Kuch Phool Atta Kartay Hain
Kuch Maseeha Meri Khatir Mera Dil Rakhnay Ko
Khat Mai Jeenay Ki Duaa Behj Dia kartay Hain


Saal-ha-Saal Guzernay Pay Bhi Aai Dil-e-Zidgaa'n
Ajj Ki Shaam Manatay Howay Dar Lagta Hai
Muskuraatay Howay Chehroon Kay Bhanwar Hain Lakin
Akhri Shamma Jalatay Howay Dar Lagta Hai


Dil Dharakta Hai Kay Jalti Hoi Shammo'n Ka Dhowaa'n
Shula-e-Karab Mai Tehleel Na Ho Jai Kaheen
Ji Larrazta Hau Manzer Kay Adhiray Pan Ki
Ajj Ki Shaam Takmeel Na Ho Jai Kaheen...!!!


Aao Kuch Dair Ko Hum Zakhum Shumari Kar Lain
Orr Kuch Dair Mai Her Shamma Pighal Jai Gi
Ajj Ki Bazam Mai Kho Jain, Kaheen So Jain
Ajj Ki Shaam Bhi Kuch Dair Mai Dhal Jai Gi
Jalti Bhujti Shamoo'n Ka Bharosa Kaisa?
Zindegi Taiz Bohat Taiz Hawa Ka Jhonka....!!!

Sunday, January 5, 2014

Baat to zara si hai..baat umer bhar ki hai!!

zindagi k mele main
khvahishon k rele main
tum se kya kahen jana
is qadar jhamele main
vaqt ki ravani hai
bakht ki girani hai
sakht bezamini hai
sakht lamakani hai
hijr k samandar main
takht aur takhte ki
ek hi kahani hai
tum ko jo sunani hai
~ ~ ~
bat go zara si hai
bat umr bhar ki hai
umr bhar ki baten kab
do ghari main hoti hain
dard k samandar main
anginat jaziren hain
beshumar moti hain
ankh k dariche main
tum ne jo sajaya tha
bat us diye ki hai
bat us gile ki hai
jo lahu ki khilvat main
chor ban k ata hai
lafz k fasilon par
tut tut jata hai
~ ~ ~
zindagi se lambi hai
bat ratjage ki hai
raste main kaise ho
bat takhliye ki hai
takhliye ki baton main
guftagu izafi hai
pyar karne valon ko
ik nigah kafi hai
ho saky to sun jao
ek din akale main
tum se kya kahen jana
is qadar jhamele main!!

Friday, January 3, 2014

'Shattering'

I know it seems like I'm this strong person who can get through anything, but inside I'm fragile. I've had so many things thrown at me, and each one has only made a crack. What I'm afraid of is shattering.