Saturday, March 29, 2014

Sardiyan

Gul-e-zuban pe wohi sardiyon ka mosam hai
Tumhari Haan pe wohi sardiyon ka mosam hai

Darakht pr jo kabi chooriyon se dala tha
Us ek nishan pe wohi sardiyon ka mosam hai

Ye aik hm k nayi boliyan sada bolen
Teri zuban pe wohi sardiyon ka mosam hai

Sulag rahi hain zehan me qubayen lafzon ki
Magar zuban pe wohi sardiyon ka mosam hai

Tumharay anay pe sooraj k hath chamken ge
Mere makan pe wohi sardiyon ka mosam hai

Har aik simt pighalnay lagay hain sanatay
Tere bayan pe wohi sardiyon ka mosam hai

Jahan jahan pe teri khushbu k rang bikhray hain
Wahan wahan pe wohi sardiyon ka mosam hai

Wo Haan kre ga baharon me uska wada tha
Us aik Haan pe wohi sardiyon ka mosam hai

Wo muj ko sonp gya furqaten December me
Darakht-e-jaan pe wohi sardiyon ka mosam hai

Hamaray lab to duayen jalae rakhtay hain
Par aasman pe wohi sardiyon ka mosam hai..

-MeeM-

Ajab pagal sa larka hai!!

Ajeeb pagal sa lrka hai
wo mujse jb b milta hai
muje har bar kehta hai
tere hone se meri zat ki tkmeel hoti hai
usy malum b hai me to khud ek aam lrki hu
mgr wo mujse kehta hai
nahi tm sa koi duja

Ajeeb pagal sa lrka hai

wo mujse jb b milta hai
nya ek nam deta hai, nai pehchan deta hai
mere andr k sb mosam bina mere kahe hi wo hmesha
jan leta hai
meri brson purani bat b wo yad rkhta hai
muje hr bar kehta hai
teri awaz ka jadu muje sony nahi deta

Ajeeb pagal sa lrka hai

wo mujse jb b milta hai
to pehron muj ko tkta hai
usy hr rng jo mene ho pehna, acha lgta hai
use hr khuab jo mene ho dekha, scha lgta hai

Ajeeb pagal sa lrka hai

use mere hina-i hath tkna acha lgta hai
use mujko muji ko sochne ki jane kia zid hai
ho din ka koi b lmha, andheri rat ka pal ho
wo mujko socha krta hai, muji ko yad rkhta hai

ajab pagal sa lrka hai

wo mujse jb b milta hai
hzaron bar kehta hai
muje tmse mohabat hi nahi hai ishq hai jana
bs ek pal me wo apna ap mujko sonp deta hai
me us pagal se lrke k liye ab or kia likhu

muje usko btana hai

k uski muskurahat pr
me duniya war skti hu
bs uski aik ahat pr
me jeewan har skti hu
muje us se mohabat hai
muje b ishq hai us se

Ajeeb pagal sa lrka hai
Ajeeb pagal c me b hu!!!

Tuesday, March 18, 2014

Taaj Mahal!

Taaj tere liye ik mazhar-e-ulfat hi sahi,
Tujh ko is vaadi-e-rangin se aqeedat hi sahi,
Mere mahaboob kahin aur milaa kar mujh se!


Bazm-e-Shaahi mein ghareebon ka guzar kya ma'ani,
Sabt jis raah pe ho'n satwat-e-Shaahi ke nishaan,
Us pe ulfat bhari roohon ka safar kya ma'ani.


Meri mahaboob pas-e-pardah-e-tash'heer-e-wafaa,
Tu ne satwat ke nishaanon ko to dekha hota,
Murda shaahon ke maqaabir se bahalnewaali,
Apne taareek makaanon ko to dekha hota.


Anginat logon ne duniyaa mein muhabbat ki hai,
Kaun kahta hai ki saadiq na the jazbe un ke,
Lekin un ke liye tash'heer ka saamaan nahin,
Kyun ke wo log bhi apni hi tarah muflis the.


Ye imaaraat-o-maqaabir ye faseelein, ye hisaar,
Mutl-qulhukm shahanshahon ki azmat ke sutoon,
Daaman-e-dahr pe us rang ki gulkaari hain,
Jis mein shaamil hai tere aur mere ajdaad ka Khoon.


Meri mahboob! unhein bhi to muhabbat hogi,
Jinki sannayi' ne bakhshi hai isey shakl-e-jameel,
Un ke pyaaron ke maqaabir rahe benaam-o-namood,
Aaj tak un pe jalayi na kisi ne qandeel.


Ye chamanzaar ye Jamuna ka kinara ye mahal,
Ye munaqqash dar-o-diwaar, ye mehraab ye taakh,
Ek shahanshah ne daulat ka sahara le kar,
Ham ghareebon ki muhbbat ka udaya hai mazaakh.
Mere mahabuub kahin aur milaa kar mujhse!!


Sahir Ludheyanvi